Saurabh is here
Noises of My Brain
Akelapan
Posted by on March 4, 2010
is man to leke baitha hun,
akela sa ik kone mein,
aankho mein aansu kuch bache hai,
jaage mein aur sone mein,
kuch shabd sunna nahi chahta mein,
door hi rehna chahta hun,
agar unko sun lun,
to fir akela ho jaata hun,
bas karta rahun tumse baate,
humesha humesha ke liye,
haste rahun, hasate rahun,
na dil dukhe tumhara, mujhse anjaane mein,
lena nahi chahta kuch tumse,
bas dil yahi chahta hai,
pyaar se pukaar lo humen,
aur koi bhi nahi aasha hai.
mein bas rahunga apna sa man leke,
tuhare saaye mein bita lenge zindagi tumhara naam leke
Advertisement